Friday, May 18, 2012

khudgarzi ya khushi?

apne ansoon ki itni bhi kya kum keemat lagai jaye,
ki ankhen ho nam aur baarish mein bheeg liya jaye.

kuch kitaabein aur chand chehre hi padhe hai jab.
to bhala kaise har sawaal ka jawaab diya jaye.

ek jawaab jab hota nahi kisi sawaal ka to phir kyun na,
jiski jaisi ho zaroorat usko vaisa jawaab diya jaye.

beshumaar log, dheroon armaan, mukhtalif manzilein,
koi kahe sikander ban jaun to koi kahe majnu bana jaye.

dekhta hai aksar logon ko is kash-ma-kash mein 'tabish',
ki khudgarzi se bacha jaye ya phir khushi ko chuna jaye.

                    tabish 'shohdah' javed