Showing posts with label shaiyari. Show all posts
Showing posts with label shaiyari. Show all posts

Saturday, December 8, 2012

ताल्लुक



ताल्लुक निभाने का भी ये क्या तरीका है,
वो अनजान  रहता है, हम परेशान  रहते है।

के उसकी गली से गुज़र ही गए  होते उस दिन,
 बस मस्जिद  में अज़ान न हुई होती।

इस दफाह रिवायत को कुछ यूँ बदला जाए,
ख़ुशी को माँगा नहीं, छीन लिया जाए।

के इलज़ाम लगाने से पहले ये इत्मिनान  कर लिया जाए,
 खलिश तुम्हे है, कहीं  खोट खुद में न निकल आये।

जिधर भी दिखे रौशनी, बेसाख्ता न दौड़ा जाए,
अँधेरे एक कमरे में पहले मन को टटोला जाए।

के दिन यूँ भी गुज़रे के वो सामने है और मेरा नहीं,
के दिन ये भी आया की वो मेरा है और सामने नहीं।

दुआ भी तुम्हारी कैसे कबूल करे खुदा 'ताबिश',
खात्मा ईमान पे चाहिए, और हाथ में हाथ काफिर का।।

                        -ताबिश 'शोहदा' जावेद

taall'uk nibhanane ka bhi ye kya tareeka hai
vo anjaan rehta hai, hum pareshan rehte hai

ke uski gali se guzar hi gaye hote uss din
bas masjid me azaan na hui hoti

iss dafah rivaayat ko kuch aise badla jaaye
khushi ko maanga nahi,cheen liya jaaye....

ke ilzaam lagane se pehle ye itminaan kar liya jaaye
khalish tumhe hai, kahin khot khud me na nikal aaye

jidhar bhi dikhe roshni, besaakhta na dauda jaaye
andhere ek kamre me pehle mann tatola jaaye

ke din yun bhi guzre ke vo saamne hai aur mera nahi
ke din ye bhi aaya ki vo mera hai aur saamne nahi

dua bhi tumhari kaise kubool kare khuda 'tabish'
khatma iman pe chaiye,hath me hath kaafir ka...

                           -Tabish 'Shohda' Javed


This post is linked to dVerse Poets Pub And Poets United


Friday, May 18, 2012

khudgarzi ya khushi?

apne ansoon ki itni bhi kya kum keemat lagai jaye,
ki ankhen ho nam aur baarish mein bheeg liya jaye.

kuch kitaabein aur chand chehre hi padhe hai jab.
to bhala kaise har sawaal ka jawaab diya jaye.

ek jawaab jab hota nahi kisi sawaal ka to phir kyun na,
jiski jaisi ho zaroorat usko vaisa jawaab diya jaye.

beshumaar log, dheroon armaan, mukhtalif manzilein,
koi kahe sikander ban jaun to koi kahe majnu bana jaye.

dekhta hai aksar logon ko is kash-ma-kash mein 'tabish',
ki khudgarzi se bacha jaye ya phir khushi ko chuna jaye.

                    tabish 'shohdah' javed

Thursday, March 26, 2009

दोस्त?

कल तो जो हमारी दोस्ती को अपनी ताकात कहते थे ,
आज वो हमारी कमजोरी जानने का दम भरते है ।